chashm-e-mayaguun zaraa idhar kar de
dast-e-kudarat ko be-asar kar de
tez hai aaj dard-e-dil saaqii
talKhi-e-may ko tez-tar kar de
josh-e-wehshat hai tishnaakaam abhii
chaak-e-daaman ko taazagaar kar de
merii qismat se khelane waale
mujh ko qismat se beKhabar kar de
lut rahii hai merii mataa-e-niyaaz
kaash! wo is taraf nazar kar de
‘Faiz’ takmiil-e-aarazuu maaluum
ho sake to yuun hii basar kar de