Talkhi E Hayyat Say Ghabra K Pee Gaya

Mein Talkhi E Hayyat Say Ghabra K Pee Gaya
Ghum Ki Siyaah Raat Say Ghabra K Pee Gaya

Mein Aadmi Hoon Koi Farishta Nahi Huzoor
Mein Aaj Apni Zaat Say Ghabra K Pee Gaya

Itni Daqeeq Shai Koi Kaisay Samajh Sakay
Yazdaan K Waqiyaat Say Ghabra K Pee Gaya

Gham Ki Siyaah Raat Say Ghabra K Pee Gaya
Mein Talkhi E Hayyat Say Ghabra K Pee Gaya

Kaantay To Khair Kaantay Hein In Say Gila He Kia
Pholon Ki Waardat Say Ghabra K Pee Gaya

Re: Talkhi E Hayyat Say Ghabra K Pee Gaya


mujhe Jigar Moradabadi kii yeh Ghazal yaad aa gaii:

**saaqii kii har nigaah pe bal khaa ke pii gayaa
lai'haroN se kheltaa huaa lai'hraa ke pii gayaa

be_kai'fiiyoN ke kai'f se ghabraa ke pii gayaa
tauba ko toR_taaR ke tharraa ke pii gayaa

zaahid! yeh merii shoKhii-e-rindaana dekhna
raHamat ko baatoN baatoN meN bahlaa ke pii gayaa

sar_mastii-e-azal mujhe jab yaad aa gaii
duniyaa-e-ai'tbaar ko Thukraa ke pii gayaa

aazurdgii-e-Khaatir-e-saaqii ko dekh kar
maiN intihaa-e-shauq meN ghabraa ke pii gayaa

piitaa ba_Ghai'r izn yeh kab thii merii majaal
dar_parda chashm-e-yaar kii sheh paa ke pii gayaa

us jaan-e-mai'kada ki qasam baar_haa, "Jigar!"
kul 'aalam-e-bisaat pe maiN chhaa ke pii gayaa**

Re: Talkhi E Hayyat Say Ghabra K Pee Gaya

Mein Aadmi Hoon Koi Farishta Nahi Huzoor
Mein Aaj Apni Zaat Say Ghabra K Pee Gaya

Acha bahana hai peene ka :)

Re: Talkhi E Hayyat Say Ghabra K Pee Gaya

exactly :hoonh: