Muddi
1
Talism-e-Ishq Tha Sub Uss Ka saath Hoonay Tak
Khiyaal-e-Dard Na Aaya Nijaat Hoonay Tak
Milla Tha Hijr Kay Rastay Main Subah Key Manind
Bichar Giya Tha Musfir Say Raat Hoonay Tak
Ajeeb Rang Badaltii Hai Uss Key Nagree Bhee
Her Ik Naher Koo Deekha Furaat Hoonay Tak
Woh Iss Kamal Say Kheela Tha Ishq Key Bazzi
Main Apni Fateh Samajhtha Tha Maat Hoonay Tak
Hai Istiara Ghazal Uss Say Baat Karnay Ka
Yehi Waseela Hai Abh uss Say Baat Honay Tak
Main Usay Bhoolna Chahoon Too Kiya Karoon Aadil
Joo Mujh Mian Zinda Hai Khud Mairee Zaat Hoonay Tak
Re: Talism-e-Ishq Tha…!!!
Bohat khoob Muddi g thanks 4 sharin…
Pramod
4
Woh Iss Kamal Say Kheela Tha Ishq Key Bazzi
Main Apni Fateh Samajhtha Tha Maat Hoonay Tak
lajawaab sher hai.
thanks for sharing...Muddi.
Re: Talism-e-Ishq Tha…!!!
bohat khoob :k: