Shayad ye baat sahi na ho.. khuda ne to Insaan ko Ashraf ul Makhlooqat banaya tha… uss pe putle main jab rooh phoonki to usse Farishton ke liye bhi qabil e ihtaraam thehraya, phir kuda ki uss takhleeq ko khata ka putla keh kar hum apni ghaltian aur kotahiyan bhoolne ki koshish karte hain.
main ye nahi kah rahi k hum sdahi karty hain… aisa to log samjhty hain na k galti kari jao aur end main gunahun sy toba kr lo to jaan choot jaye gi… aur kuch log farishty ban’ny ki chah rakhty hain… khud ko dosron k samny farishty k tor par paish karty hain aur ye bhool jaty hain k farishty ny insan ko sajda kiya hy… to in main afzal bhi insaan hi hua na