Nazdeekion mein duur kaa manzar talaash kar
jou haath mein nahin hai woh patthar talaash kar
sooraj key ird-gird bhatakney sey faaidah
dariya huaa hai gumm tou samandar talaash kar
tareekh mein mahal bhi hai, haakim bhi, takhat bhi
gumm-naam jou huey hein woh lashkar talaash kar
rehta nahin kuch bhi yahan aik saa sadaa
darwaaza ghar kaa khol key phir ghar talaash kar
koshish bhi kar, umeed bhi rakh, raasta bhi chunn
phir uss key baad thoraa muqaddar talaash kar
(Muqtida hassan nida faazli)