*~*~*~ TalaasH ~*~*~*

***Talaash ***

Raat Ki Baysukoo’n Khamoshii Main

Ro Rahaa Hoon K So Naheen Saktaa

Raahatoo’n K Mahal Banataa Hay

Dil Jo Abaad Ho Nahee’n Saktaa

Door Shama-e-Khayaal Ki Maanind

Shama vaadi Ki jhil_milati Hay

Yaas K Baykaraa’N Andherey Main

Ek ummeed Muskuraati Hay

Door Parbat K Paas char_vaah

kho gaya Gham_fazaa Taranoo’n Main

Bain Karti Hay ’ Rooh Hay Zakhm Aalood

Baansoori Ki Naheef Taanoo’n Main

***Teray Jaanay Ka Ghum Bhulata ***Hoon

Teray Aanay Ki Yaad Aati Hay

Is Bay Basi K Aalam Main

Kis zamanay Ki Yaad Aati Hay

Shab ko Viraa’n Rah_guzaroo’n Say

Sar Jhuka’ey Hovat Guzarta Hoon

Qah_qahoo’n Main Qaraar Khoyaa Tha

*Aa’nso’on Main TALAASH Karta Hoon *

*

Re: ~~~ TalaasH ~~~

gala phar ke ro rehe ho ya :hehe:

Mian Buhat SUREELAY Tareeqay say Roota hoon :hehe:

Re: ~~~ TalaasH ~~~

kese ro ke dekaho :hehe:

Is Tarah >------------------------->:teary2:

Is Tarah Ronay Say 7 Sur Nikaltay Hain :smiley:

Re: ~~~ TalaasH ~~~

nak beh nekelta he u ka :wink:

Naheen … Us Main filter Plant Lagvaya Hay :wink:

Re: ~~~ TalaasH ~~~

filter kea kerta he :hehe:

Naak Behnay Say Rokta Hay :naak:

No flooding :grumpy:

Re: ~~~ TalaasH ~~~

umm tape laga le he nak pe to ab u sans kese lete ho :hehe:

ALLAH Pak Nay Itna Barra Mounh Jo Diya Hay … :smiley:

Re: ~~~ TalaasH ~~~

Sleep fast lay lain p^K nice talash though wesay so gaye tu talash kahaN jari rahy ghi :)


Nice Mashvara...Yaad rakhoongA :~)