raat ki be-sukuN Khamoshi men
ro raha hoN k so nahi sakta
raahaton k mahal banata hai
dil jo aabaad ho nahi sakta
duur shama-e-Khayaal ki maanind
shama vaadi ki jhil_milaati hai
yaas k beqaraN andhere men
aik umiid muskuraati hai
duur parabat k paas charvaaha
kho gaya Gham_faza taraanon men
bain karati hai rooh-e-zaKhm_aaluud
baaNsuri ki naheef taanon men
tere jaanay ka Gham bhulata huN
tere aanay ki yaad aati hai
haaye is bebasi k aalam men
kis zamaanay ki yaad aati hai
shab ko viiraan reh_guzaaron se
sar jhukaaye huay guzarta huN
qeh_qahon men qaraar khoya tha
aaNsuon men talaash karta huN