Talaash

Der lagi aane mein tumko shukr hai phir bhi aaye to
aas ne dil ka saath na chorha waise ham ghabraaye to

Shafaq dhanak mahtaab ghataein taare naghmein bijli phool
uss daaman mein kya kya kuch hain wo daaman haath mein aaye to

Chahat ke badle mein ham tu baech dein apni marzi taq
koee miley tu dil ka gahak koee hamein apnaaye to

sunee sunaee baat nahi hai apne oopar beeti hai
phool nikalte hain sholon se chaahat aag lagaaye to

jhoot hai sab tareeq hamesha apne ko dohraati hai
acha mera khwaab-e-jawani thora sa dohraaye to

Naadani aur majboori mein yaaro kuch to farq karo
ek bebas insaan kare kya tuut ke dil aa jaaye to

by:Andleeb Shadani

Re: Talaash

:k:

Re: Talaash

Raat ki besakoon khamoshi mein
ro raha hoon ki so nahi saktaa
rahaton ke mahal banata hai
dil jo abaad ho nahi sakta

door shama-e-khayaal ke maanind
shama vaadi ki jhil-milaati hai
yaas ke beqaraar andhere mein
eik umeed muskurati hai

tere jaane ka gham bhulata hoon
tere aane ki yaad aati hai
haay is bebasi ke aalam mein
kis zamane ki yaad aati hai

Shab ko viraan rah-guzaaron se
ser jhukaaye huay guzarta hoon
qah-qahon mein qaraar khoya tha
aansu'on mein talaash karta hoon

By: Saifuddin Saif

Re: Talaash

Sunte hain ki mil jaati hai her cheez dua se
aik roz tumhein maang ke dekhenge khuda se

tum saamne baithe ho to hai kaif ki barish
wo din bhi thay jab aag barasti thi ghata se

ay dil tuu unhein dekh kar kuch aise tarhpa
aa jaaye hansi un ko jo baithe hain khafa se

dunya bhi mili hai gham-e-dunya bhi mila hai
wo kyun nahi milta jise maanga tha khuda se

aaeene mein wo apni adaa dekh rahe hain
mur jaaye ki jee jaaye koee unki bala se

By: Rana Akbarabadi

Re: Talaash

Bhai Mirabbas,

Aap ek Guldasta, apne Intekhaab ka chapwa den.

Re: Talaash

Hain justajuu ke khoob se hai khoobtar kahaan
ab dekhiye thaharti hai jaa kar nazar kahaan
ik umr chahiye ke gawara ho nash-e-ishq
rakhi hai aaj lazzat-e-zakhm-e-jigar kahaan

ham jis pe mar rahe hain wo hai baat hi kuch aur
aalam mein tujhse laakh sahi tuu magar kahaan

hoti nahi qabuul dua tark-e-ishq ki
dil chahta na ho to zubaan mein asar kahaan

'Hali' nishaat naghma-o-mai dhuundte ho ab

aaye ho waqt-e-subh rahe raat bhar kahaan
By: Altaf Hussain Hali

Re: Talaash

bouhat khoob… :k:

Re: Talaash

Shukria…

Re: Talaash

Agar talaash karoon koee mil he jaaega
magar tumhari tarha kon mujhe chahega

tumhein zaroor koee chahaton se dekhega
magar wo aankhein hamari kahaan se laaega

na jaane kab tere dil per naee see dastak ho
makaan khaali huaa hai tu koee aaega

main apni raah mein dewaar ban ke baetha hoon
agar wo aayaa tu kis raaste se aaega

By: Basheer Badar