Taraashay huwe mujasmoon ki maanind
Hum bhi sara-paa taraashay huwe hain
Kal apnoo ki mehfil ke thay maizbaan
Aaj ajnabi ban kar aaye huwe hain
Jab hota hai zindagi mein kisi ka ehsaas
Tu phir kyon ho jaata hai woh niraash
Yeh silsilay bhi ajeeb hain
Meri subha se shaam tak chaaye huwe hain
Kabhi mehsoos karo us karb ko
Jo tapkay aans’oun ki tarah jazb ho
Jahaan daman jo bhar gaya kaheen
Tu bikhray moteyoon ki tarah chalkay huwe hain
Guzri bisri rafaqattain, guzray basray sath hain
Yeh hi zindagi ki hakeekat yeh hi nasheb o faraz hain
Kisi pal bhi nahe hai mujh sukoon
Yeh kaisa laga meri jaan ko roug
Dekhoon tu har aankh ashkbaar hai
Jaise kar rahi ho mere jeenay ka soug
Mein zinda bhi hoon, zinda nahee
Tanha bhi hoon, tanha nahee
Yeh kaisi hai mere gird bheer
Jahaan ho kar bhi jhutlaaye huwe hain
Woh khwaab thaa … Saraab thaa
Jo kabhi zindagi ka azaab thaa
Mein ne tora jissay azz’eyyat samajh kar
Aaj woh sabhi ne apni aankh mein sajaye huwe hain
Kab hoga yeh safar khatam
Kab jaayenge door hum se gham
Jinhain dekh koi sakta nahee
Har khushi pe woh hi chaaye huwe hain
Jo keye thay jattan, un ka nishaan kya hai
Sehra o samundar ka raaz kya hai
Rafaqattoon ka jawaaz kya hai
Paraoo kya hai qayyaam kya hai
Meri zindagi ka paighaam kya hai
Woh jis ki talaash mein hoon dar-ba-dar
Talaash ka meri naam kya hai
Un hi sawaloon ke jawaab jo talab keye thay kabhi
Aaj khud mere paas sawal ban kar aye huwe hain …