“pahaarroun” ki tarah saakit
“darakhtoun” ki tarah jaamid
kharray hein paa ba gil laikin
hamein apni qasam hum ne
usay ab tak nahin dhoonda
lahoo se tur-ba-tur
iss khaak kay paikar se koi maawra shai hai…
Khuda e bai badan jis ko
“darakhtoun” aur “pahaarroun” ki qasam khaa kar
KAMAAL E AHSAN E TAQWEEM Kehta hai…