Kabhi!
Tum ko bahut chaaha thaa hum ne
Haan !
Tumhari thee humein chaah bahut
Go, us zamaanay main bhi hamaray
Paas na thay zar, jwahar, laal, gohar,
Lekin, dil mein rakhtay thay
Pyar, Muhabbat, Khaloos, Wafa
In jazboon ki saughaat bahut
Tub, jazboon main tugheyaani thee
Tub, dil main thay armaan bahut
Us wakt, janay kis gaushay mein
Tum kis liye ja chuppi thee
Bahut talaash kiya tum ko hum ne
Qaria qaria, nagar nagar
Bahut sadayeein deen tum ko
Bahut roye, cheekhay, chillaye,
Lekin, tum sab kuch sun kar bhi
Paas mere aa na sakeen
Rasmoon rawajoon ki dewaroon ko
Tum ek thokar bhi laga na sakeen
Tum ne zar ki saleeb per
Mere armanoo ko masloob kiya thaa
Logoon ne tu tabah kiya hi thaa
Barbaad tum ne bhi khoob kiya
Kitnay saawan beet gaye
Na tum mileen na chain mila
Ek dukh hi teri judaee ka
Hum ko tu din rain mila
Ab !
Jab tanha rehnay ki aadat
Meri rooh tak main bas chuki hai
Jab, jazboon ka samundar sard hawa
Jab, armaan saaray barf hochukay
Aisay main tum achaanak
Mere samne aaee ho kis liye
Ab tum ko apna bhi
Khayal nahee, kuch hosh nahee
Ab dil mein mere pehlay se
Jazbaat-o-josh kuch bhi nahee
Laa sakti ho tu dhoond ke lao
Mere beetay huwe saawan
Maah-o-saal-o-khoee hansi
Jab tak in ko dhoond na lo
Tab tak, mere paas naa aana
Jao !
Phir se chup jao
Tum apne zarreen gaushay mein
Mujhay lipat kar apni tishnakaami se
Dam-e-aakhir tak sonay do
Wasl to barwakt mukammal ho na saka
Takmeel-e-hijr to hojaane do