takleef-e-hijr de gayee rahat kabhi kabhi
badla hei yun bhi rung-e-muhabbat kabhi kabhi
dil ne teri jafaa ko sahara samajh liya
guzri hei yun bhi hum pe musibat kabhi kabhi
duniya samajh na le tere gham ki nazaakate
karta hun zer-e-lab jo shikayat kabhi kabhi
hae jis taraf nigaah tawajjo udhar nahi
hoti hei berukhi bhi inayat kabhi kabhi
aayee shab-e-firaaq toh ghabra gaye shajeer(?)
aati hei zindagi mei qayamat kabhi kabhi
~moazam taaj