P_G
1
kabhi palkooN per humaiN saja diya
kabhi QadmooN ki Dhool bana diya
kabhi dostee ka Salam kia
to kabhi ajnabi bana diya
kabhi muskara ker bula liya
kabhi nazar say hee gira diya
yehee zindgee kay Roop hain
Dil nay mujhay samjha diya
nigah-e-yar main maqam apna
mere tanhaiyooN nay mujhay dikha diya
dost or dushmani ka farq main kia samjhta
in tajrabooN nay to mujhay he mita diya
8dec2006
AQ
2
Re: tajerbaat !
kabhi dostee ka Salam kia
to kabhi ajnabi bana diya
kabhi muskara ker bula liya
kabhi nazar say hee gira diya
nigah-e-yar main maqam apna
mere tanhaiyooN nay mujhay dikha diya
Beautiful asha'ar ... Simply amazing...
Re: tajerbaat !
main sciencedaan hoon kis cheeze ka tajarba karna hai :shoaby: :shoaby: …
Amal
4
Re: tajerbaat !
Khoobsoorat tajurba hey Problem _girl :k: … keep experimenting :~)
P_G
5
Re: tajerbaat !
Aq > thanx for pasndeedgee : )
hussain > pehlay apna tajerba kero : P
Amal > isay khoobsoorat nahi KhOF soorat tajerba kehtay hain bummer
Re: tajerbaat !
TajarboN sey hi insaan seekhta hey, umeed hey next tajurba kuch behtar rung laaey ga, thanks for sharing Girl:~)