Taj teray liay ikk mazhar-e-ulfat hi sahi Tuj ko iss wadi-e-rangeen se aqeedat hi sahi Meray mehboob kahin or milla kar muj say
bazm-e-shahi main ghareebon ka guzzar kia mani sabt jiss rah main hon satoot-e-shahi ke nishan uss pay ulfat bhari rahon ka saffar kia mani meray mehboob pass-e-pardaey tash-heer wafa tu nay satoot kay nishano ko tu dekha hota
*murda shahon kay maqabir say behalnay wali * apnay tareeq makaanon ko tu dekha hota un ginnat logon nay dunya main mohabbat ki hay kon kehta hay keh sadiq na thay jazbay unn kay laikin unn kay liay tash-heer ka saman nahi kion ke woh log bhi apni hi tarha muflis thay yeh immarat-0-maqabir, yeh faseelain, yeh hissar mataqul hukkam shahan shahon ki azmat kay satoon seena-e-dehar kay nasoor hain kohna nasoor jazb hay inn main teray or meray ajdad ka khoon
meray mehboob! unnahay bhi tu mohabbat ho gi jinn ki sannai nay bakhshi hay issay shakl-e-jameel unn kay payaron kay maqabir rahay bay name-o-namood
*aaj tak inn pay kissi nay jalai nay kandeel * chaman-e-zaar, yeh jamna ka kinnara, yeh mehal yeh manaqash dar-o-deewar, yeh mehrab, yeh taaq
*ikk shehanshah nay dolat ka sahara lay kar * hum ghareebon ki mohabbat ka urraya hay mazzaq
Waah! Sahir Ludhianvi aaj bhi zinda hain logon ke dil mein. Bohat achhi baat hoti agar unki yeh naqaabil e faramosh nazm ko yahan pesh karne waale Janab Farishta2 ne unka zikr sar e nazm kar diya hota! Magar kya karein yahan to haal aisa hai keh zarbumisaal ashaar ko majrooh banakar pesh karte hain apne naam ke saath! Shaair ko kisne jaana aur yaad rakha? Inhone kam az kam itni taweel nazm utaar do di! Subhaan Allah Walhamdulillah!
meray mehboob! unnahay bhi tu mohabbat ho gi
jinn ki sannai nay bakhshi hay issay shakl-e-jameel unn kay payaron kay maqabir rahay bay name-o-namood aaj tak inn pay kissi nay jalai nay kandeel *
*chaman-e-zaar, yeh jamna ka kinnara, yeh mehal yeh manaqash dar-o-deewar, yeh mehrab, yeh taaq ikk shehanshah nay dolat ka sahara lay kar *
*hum ghareebon ki mohabbat ka urraya hay mazzaq meray mehboob! kaheen or milla kar muj say! *
*Sahir Ludhyanvi ky khubsurat ashar ka khubsurat intikhab. Buhat khub Farishta2
**
[quote=goodnews] meray mehboob! unnahay bhi tu mohabbat ho gi
jinn ki sannai nay bakhshi hay issay shakl-e-jameel unn kay payaron kay maqabir rahay bay name-o-namood aaj tak inn pay kissi nay jalai nay kandeel *
*chaman-e-zaar, yeh jamna ka kinnara, yeh mehal yeh manaqash dar-o-deewar, yeh mehrab, yeh taaq ikk shehanshah nay dolat ka sahara lay kar *
*hum ghareebon ki mohabbat ka urraya hay mazzaq
*meray mehboob! kaheen or milla kar muj say! *
Sahir Ludhyanvi ky khubsurat ashar ka khubsurat intikhab. Buhat khub Farishta2
[quote:Saagar Khayyami]
" Shah e Jahan jo Taj Mahal dekhne gaye,
** Poochha "Koi kami tau nahi rang o nur ki?"**
** Ghabra ke ro'ab e Shah se memaar ne kaha,**
** "Is maqbarey mein eik kami hai, Huzur ki!":) **