aik taveel bimari k baad, filhaal yahi hazir hay
**
taj teray liay mazhar-e-ulfat hi sahi
tujh ko is wadiay rangee.n say aqeedat hi sahi
meri mehboob kahi.n or mila kar mujh say !
bazm-e-shahi main ghareebo.n ka guzar kia mani?
sabt jis rah pay ho.n sitwat-e-shahi k nishaa.n
us pay ulfat bhari rooho.n ka safar kia mani?
meri mehboob pas-e-pardiay tashheer-e-wafa
tu nay sitwat k nishano.n ko tu dai.nokha hota
murdah shaho.n k maqabir say behalnay wali
apnay tareek makano.n ko tu daikha hota
un ginat logo.n nay dunya main mohabbat ki hay
kaun kehta hay k sadiq na thay un k jazbay
lakin un k liay tashheer ka saman nahi.n
kion k woh log bhi apni hi tarah muflis thay
yeh imarat-o-maqabir, yeh faseelain, yeh hisaar
mutliq-ul-hukm shehanshaho.n ki azmat k sato.n
daman-e-dahar yeh is rang ki gulkari hain
jis main shamil hay teray or meray ajdad ka kho.n
meri mehboob! unhain bhi tu mohabbat hogi
jin ki sannai nay bakhshi hay isay shakl-e-jameel
un kay piyaro.n k maqabir rahay bay nam-o-namood
aaj tak un pay jalai na kisi nay qindeel
yeh chaman zaar, yeh jamna ka kinara, yeh mahal
yeh munaqqash daro-odeewar, yeh mehrab, yeh taq
ik shehanshah nay apni dolat ka shahara lay kar
hum ghareebo.n ki mohabbat ka uraya hay mazaq
meri mehboob kahin or mila kar mujh say!
**