Tairay hisaar say bahir nikal gaya hoon main

**
Tairay hisaar say bahir nikal gaya hoon main**
** Tu theek kehta hai shayad badal gaya hoon main**

** Tujhay khabar nahi kaisay saraab rastay thay**
** Khuda ka shukr k phir bhi sanbhal gaya hoon main**

** Mairay ilawaa bhi tujh ko azeez hai koi!!!**
** Zara si baat pay aisay hee jal gaya hoon main**

** Yeh paoo’n jantay hain wat e hijr kaisa hai**
** qadam qadam kisi pathar main dhal gaya hoon main**

** Utha liya hai sitaroo’n nay aasmaan sir par!!!**
** Zara jo chaand ki khatir machal gaya hoon main**

Re: Tairay hisaar say bahir nikal gaya hoon main

Dil Tou Bacha Hay Jee :p

Re: Tairay hisaar say bahir nikal gaya hoon main

Itna bhi kaka nhi................jitna samjhty hyn:p

Re: Tairay hisaar say bahir nikal gaya hoon main

**Mairay ilawaa bhi tujh ko azeez hai koi!!!
**Zara si baat pay aisay hee jal gaya hoon main

Ishqqqqqqqq to hai hi khalal e damagh :wink:****

Re: Tairay hisaar say bahir nikal gaya hoon main

hissar say niklay hotay to yeh nazam wujud main he na aate..

Re: Tairay hisaar say bahir nikal gaya hoon main

Hummm

Re: Tairay hisaar say bahir nikal gaya hoon main

abhi tak aao Hummm ke hisaar se azad nahin huwe?

Re: Tairay hisaar say bahir nikal gaya hoon main

hummmm

Re: Tairay hisaar say bahir nikal gaya hoon main

Great!!!

Re: Tairay hisaar say bahir nikal gaya hoon main

**Utha liya hai sitaroo'n nay aasmaan sir par!!!!
**Zara jo chaand ki khatir machal gaya hoon main

wah****

Re: Tairay hisaar say bahir nikal gaya hoon main

:cb:…phr to Aapka elaaj chal raha hoga…?:stuck_out_tongue:

Re: Tairay hisaar say bahir nikal gaya hoon main

nahin prevention is better than cure

Re: Tairay hisaar say bahir nikal gaya hoon main

to Prevention k liya kia kiya............?
Kis Hakeem sy dosti hy aaj/kal...........?

Re: Tairay hisaar say bahir nikal gaya hoon main

Hakeem Luqman se. aap ko hakeem kiyun yaad aa rahe hain? :hmmm:

Re: Tairay hisaar say bahir nikal gaya hoon main

thand jo baRh gae hy…:stuck_out_tongue: