Re: Tahraa huaa manzar hai k maatam hai nazar ka…merii ek Ghazal
aapkaa beHad shukria k aapne jis ash’aar ko pasand farmaayaa uskii nishaan-dehii farmaayii…aapkii Hausalah afzaaii ke liye mamnoon o mutashakkir huN
aji aapkaa yeh Husn e nazar hai varna “cheh piddii cheh piddi kaa shorbaa” waalii misdaaq mujh per laagoo hotii hai
Hausalah afzaaii ke liye shukria
**shukria, mahrbaanii, navaazish, karam…aapkii Hausalah afzaaii mere liye mash’il-e-raah hai. ji, mujhe is baat kaa 'ilm hai k aapko nazam ziyaada pasand hai magar kia karuuN mujhe Ghazaliyaat se ziyaada dil-chaspii hai…aapkaa Hukm sar aanKhoN pe, inshaa Allah jald hii ta’meel-e-Hukm hogii.
aapne bhii to ID naii banaayii huii hai…
jo Haal “ai’n” kaa hai vohii soorat “Ghai’n” kii bhii hai bas nukte kaa farq hai…
pasandeedgii ke liye ek baar phir banda mutashakkir hai :)**
**aaaaaaaaaawwwwwwww…lekin, aajkal to aap par bhii rang-e-Ghazal chhaayaa huaa hai bal k yuN kahuuN to be-jaa na hogaa k:
tire sar pe kuchh is andaaz se ash’aar kaa girnaa****
nazam uR gaii, Ghazaliyaat par saHaab aayaa
kaash “FaaKhtii” na uRtii to aaj aap logoN ko merii Ghazaliyaat paRh ke yeh din na dekhne ko milte
hehe :D**
**waah, aapko bhii 5 numbarii she’r hii pasand aayaa jo mujhe bhii ittifaaqan pasand hai
… thankoo ![]()
**
**muskuraate huye rona seekho:
haNste haNste rona seekho
rote rote haNsnaa seekho
thankoo :D**
inko to eid bhii rulaa jaatii hai
vo inke paas aate hii ro paRtui hai aise
hehe