aaj apnii ek aur Ghazal le kar Haazir-e-Khidmat huaa huN is ummeed-e-qawii k saath k aapkii tab’a-e-naazuk pe baar-e-giraaN guzregii. aapkii aaraa o tanqeed o tanqees kaa shiddat se intizaar rahegaa…to, Ghazal mulaaHizah farmaaiye:
faqat Khaak_nashiiN
_______Hashmat
ik mauj-e-balaa_khez samandar se uThii hai
saaHil pe vohii chiiz jo paanii meN dabii hai
mehtaab kii kirnoN se sadaa phooT ke niklii
ghabra ke uThaa huN ki zamiiN TuuT rahii hai
sab kuchh hai usii tarHa, vohii faasle kal ke
ma’luum nahiiN aaj bhi kia ham meN kamii hai
uRtaa hua guzraa huN sar-e-jaada-e-asraar
ik khowaab kii duNyaa meN mirii aaNkh khulii hai
dekha jo bulandii se to manzil ka dhuaaN thaa
chaTTaan se utraa huN to diivaar khaRii hai
Tahraa huaa manzar hai k maatam hai nazar ka
jo 'aks hai aaNkhoN meN jali hai na khafii hai
maazii ne use “Sai’hbaa!” teh-e-khaak kiyaa hai
taKhtii jo mire 'ahd kii marqad pe lagii hai
Re: Tahraa huaa manzar hai k maatam hai nazar ka…merii ek Ghazal
aapkaa beHad shukria k aapne jis ash’aar ko pasand farmaayaa uskii nishaan-dehii farmaayii…aapkii Hausalah afzaaii ke liye mamnoon o mutashakkir huN
aji aapkaa yeh Husn e nazar hai varna “cheh piddii cheh piddi kaa shorbaa” waalii misdaaq mujh per laagoo hotii hai Hausalah afzaaii ke liye shukria
**shukria, mahrbaanii, navaazish, karam…aapkii Hausalah afzaaii mere liye mash’il-e-raah hai. ji, mujhe is baat kaa 'ilm hai k aapko nazam ziyaada pasand hai magar kia karuuN mujhe Ghazaliyaat se ziyaada dil-chaspii hai…aapkaa Hukm sar aanKhoN pe, inshaa Allah jald hii ta’meel-e-Hukm hogii.
aapne bhii to ID naii banaayii huii hai… jo Haal “ai’n” kaa hai vohii soorat “Ghai’n” kii bhii hai bas nukte kaa farq hai… pasandeedgii ke liye ek baar phir banda mutashakkir hai :)**
**aaaaaaaaaawwwwwwww…lekin, aajkal to aap par bhii rang-e-Ghazal chhaayaa huaa hai bal k yuN kahuuN to be-jaa na hogaa k:
tire sar pe kuchh is andaaz se ash’aar kaa girnaa****
nazam uR gaii, Ghazaliyaat par saHaab aayaa
kaash “FaaKhtii” na uRtii to aaj aap logoN ko merii Ghazaliyaat paRh ke yeh din na dekhne ko milte hehe :D**
**waah, aapko bhii 5 numbarii she’r hii pasand aayaa jo mujhe bhii ittifaaqan pasand hai … thankoo
**