Tahaffuz

Ek aadmi train mein charney waala tha key iddum say ek nida aai jo boli “Train main matt baitho.”

Woh admi nahin baitha aur kuch der baad train ka accident ho gaya.

Phir woh kishti main charney waala thaa. Ek nida aai, “Kishti main matt baitho.”

Woh admi nahin baitha aur kuch der baad kishti doob gai.

Phir woh kisi pathreelai raastey sey jaa raha tha key ek nida aai, “rook jao.”

Kuch der baad ek bara sa pathar aya jo usko kuchal deyta.

Uss admi ney shukra kiya, upar dekha aur bola, “tum kaun ho.”

Awaaz aai, “main tumhaari tahaffuz ka farishta hoon.”

Aadmi bola, “Phir tum uss waqt kahaan they jab mere baraat jaa rahi thi?”

Re: Tahaffuz

hehe :rotfl:

Re: Tahaffuz

Finally ek tujhey samaj main aa gaya :-)

Re: Tahaffuz

us waqt woh baraat ka khana kha rha tha :omg:

Re: Tahaffuz

Nice :D

Re: Tahaffuz

.
hahahaha may b wo farshta is azeem hadisey k baad us k tahaffuz pe laga ho :omg:

Re: Tahaffuz

:biggthumb:

Re: Tahaffuz

:emmy: