Tafseer Tabri

Re: tafseer Tabri

Abb yea app read kare aur faizyaad hoo.agar app yea kisi ko batain tu woh sirf hasay ga lakin yea aisi riwayaat humhare tafaseer main shamil hoo gaye jis ko parh kar app kia soochain gaye.
deeni aur mazhabi wakayaat aur ek paighambar ki zindagi ka khaaka jis taqaddas aur paakeezgi ko chahta hai uss ke saath iss bay-hooda aur sooqiyana qissay ka kya joar ho sakta hai,ye sab israelki kharafaat hain. Bud Deen aur mulhid yahoodiyun ne islami rawayaat ko maskhara pun aur istehza ka shikaar bananay ke liye ye qissay gharh k islami rawayaton mein shaamil kar diye. Jab ehle kitab islam laaye to unhon ne inn qisson ko bayaan kya aur iss tarha wo hamari tafseeron mein jaga paa gaye......