shukria Fara Bhabhii aapkaa bahooot bahooooot…aapkii zarra navaazii hai
IS Bhaaii aapkaa beHad shukria k aane nazam pasand farmaayii iA, dekhiiye koshish karuuNgaa agar dil aamaadah huaa to…vaise, dil to mushkil kaamoN se apnaa daaman bachaataa hai
**inshaa Allah koshish karuuNgaa k kuchh safHe siyaah kar sakuuN shukria pasandeedgii ke liye
**
**shukria janaab e man…chhupaa hii rahna chaahtaa huN lol…
band muTThii laakh kii
khul jaaye to Khaak kii :)**
**shukria ji, shukria…aapne to mujhe podeene ke peR pe chaRhaa diyaa…lol…cheh piddi cheh piddi kaa shorbaa…kahaaN SaaHir saaHib aur kahaN maiN…
vo shahnshaah e aalam e shaa’irii
maiN gadaa e kocha e saaHirii ****
vaise, aapkii Hausalah afzaaii aur pazeeraaii ke liye maiN bahot mamnoon aur mutashakkir huN. :)**