Khushi ka ab wo paRa hai qayhat k na phcohoo
dukhooN k Sayh’raa pe MehroomiYon ki Barish hai
kisi ehsas-e-zeYaan se nidhaal ho kar bas
ajab thak’haan mere soch’ain leay phiRteeN hain
paalaT jane ki khawish tu go is dil mein hai
palaT k jaooN bi tu , kahaN ko jaa’ooN mein
Ujaa’aaR chehRa Bhalaa kon phaychaNe ga mera
mere wahshaT se meray Apne bi maa’noos nahii
mein ab is Orr chala hoo jahan se bas Ghar ko
palaaT kar looGON k taaBooTh jaya kartay haiN
dil ek qabaristan hai jis main
lakhon yadain
ankhain moondain
qabaron main lipti rehti hain
phr jab sooraj chup jata hai
chand ki roshni main boseeda laashain
ek ek kar k uth jati hain
merey dil ko nochti hain,jhinjorti hain
katti hain
main chup chaap
bus ankhain kholay
unko takti rehti hoon
mai un qabaron ko humwar nahi karsakti
karoon bhi kyun
apnay piyaron ki qabarain to
sub ko piyari hoti hain na …