sochti hoon ke
buhut ziada khushi mian aksar
ansoo kioon a jatay hain…?
udaas mausmoon main
kisi bachay ki masoom hansi
tabeyat ko rangeen kioon kar daiti hay…?
achay bhalay saath chaltay hoay log
achanak raasta kioon badal laitay hain…?
aur kabhi umeedoon kay baraks
koey na-ashna apna kaisay ban jaata hay..?
phir sochti hoon ke…
december say pehlay
darakhtoan kay pattay jahaan pehlay zard hotay hain
aur phir bikhar jaatay hain
mausam ki is tabdeeli main…kahin kahin
gehray sabz rang ki tehniyoon pe
gulab ki surkh komplain bhi to phootti hain.!!!
na mumkin …ko mumkin honay main
taqdeer ki aik…
zara si tabdeeli kaafi hoti hay ![]()