~*~ Tab Yaad Bahut Tum Aatay Ho ~*~

*Tab yaad bahut tum aatay ho
Tab yaad bahut tum aatay ho

Jab raat ki naagin dasti hai nas nas mein zehar utarta hai
Jab chaand ki kiran taizi si is dil ko cheer ke aati hai
Jab aankh ke ander hi aansoo zanjeeroon mein bandh jatay hain
Sab jazboon per chaa jaatay hain … !

Tab yaad bahut tum aatay ho
Tab yaad bahut tum aatay ho

Jab dard ki jhanjhar bajti hai jab raqs ghamoon ka hota hai
Khwaaboon ki taal pe saare dukh wehshat ke saaz bajatay hain
Gaatay hain khwahish ki lay mein masti mein jhomtay jatay hain
Sab jazboon per chaa jaatay hain … !

Tab yaad bahut tum aatay ho
Tab yaad bahut tum aatay ho …*

Re: ~~ Tab Yaad Bahut Tum Aatay Ho ~~

Very Nice Arif..:k:

Re: ~~ Tab Yaad Bahut Tum Aatay Ho ~~

nicee :k: