humara naam suntey hain humari baat kartey hain
humara zikar mehfil sabhi din raat kartey hain
humain pehchaanta koi nahi lakin yahaan saarey
humari shaairi ki baat sab ik saat kartey hain
kabhi aaisa bhi hota hai paraaey bardhke apno se
bayaan apne meri halat pe jo jazbaat kartey hain
muqadar he agar barbaad hai to kuch bahane se
jisey qismat nahi chooti usey halaat kartey hain
najane kabar pe meri ye aayain ye nahi aayain
ye humdum khush mizaji se jo mujhse baat kartey hain