Jis’ey SamaJtey thay hum apnni Zindagii ki tarha
woh JaaN ka hai TalabGaaR Muda’ee ki Tarha
GubaaR-e-Jehal ne Gheyra hai TayraGii ki tarha
chupa hooN apne AndheraY mein Roshnii ki tarha
Kissi k naam ka khaTT ek numa’eshay fun Taah
haaR ek lafz sanwaRa musavarri ki Tarha
Na Bol chaal na AasaaR AshNa’ee k
mila hai aeeNa bi muj se Ajnabii ki tarha
huway ShuRRu tu rukney ka phir sawal nahii
Hamray Ashk-e-Rawa haiN tere HaNsii ki tarha
Yahan se Uth k Jahan mein kaheen bi jii na laga
Koi Muqaam na Tah Ap ki Gaali ki tarha
Humhe pay kufr-e-Muhabat ka Agaya ILZAM
humhe ney dali thee Aa-eeN -e- Bandagii ki tarha
JunnoN mein apnii Haqeeqat samj mein aney lagii
hai Baykhudii bi hamarii Khud’Aagahiii ki Tarha
Har ek SaaNs mein tah Ehta’mam-e-MaRgh unkay BagahiR
Taamaam UmaR guzarii hai KhudKhushii ki Tarha
Terii Nigah pe ChoRaa hai Faisila Apnaa
Farishta baan k rahoN mein k Admi ki Tarha
Ga’aRz kisi se na thee Imtiiaz kia kartah
Saba Har se mila hai BaRa’barii ki Tarha
( SABA Akbarabadi )