~*~ Ta'aluq rooth jaane se kabhi toota nahe kartay ~*~

http://i54.tinypic.com/xe0azc.jpg

Mein sun ke us ki sab baatain
Faqat itna hi kehta hoon
Khafa hona manaa laina
Yeh sadeyoon se riwaayat hai
Muhabbat ki alaamat hai
Gillay shikway karo mujh se
Tumhein janaan ijaazat hai
Magar ek baat meri bhi
Zara tum yaad rakh lena
Kabhi aisa bhi hota hai
Hawaayain rukh badalti hain
Khizaayain laut aati hain
Khataayain ho hi jaati hain
Khafa hona bhi mumkin hai
Khata hona bhi mumkin hai
Aik baat yaad rakhna tum
Ta’aluq rooth jaane se
Kabhi toota nahe kartay …