~ Ta'aluq is tarah torra nahee kartay ~

Ta’aluq is tarah tora nahee kartay
Ke phir se journa dushwaar ho jaaye
Hayyaat ek zehar mein doobi huwi talwaar hojaye
Muhabbat is tarah chora nahee kartay
Khafa hone kis rasmain hain
Bigarne ke tareeqay hain
Rawaj-o-rasm tark-e-dosti per so kitabain hain
Rawdaari ka hargiz rasta chora nahee kartay
Taaluqq is tarah torra nahee kartay
Kabhi bhulbul guloon ki khamoshi se rooth jati hai
Per agle saal sab kuch bhool kar phir laut aati hai
Sabhi bhanwaroon ko gul harjaee kehtay hain
Magar thori si zid ke baad bandhan khol detay hain
Kabhi poudoon se paani door hojaye tau
Tau hamsaaya darakhtoon ke hath paighamaat bhejtay hain
Muhabbat mein sabhi ek dosre ko aazmaatay hain
Magar aisa nahee kartay
Ke har umeed har imkaan mit jaaye
Kahaan tak khenchti hai doorr andaza rakhtay hain
Hamesha chardewaari mein ek darwaaza rakhtay hain
Judaee mustaqil ho jaaye tau
Yeh zindagi zindaan ho jaaye tau
Agar khushbu hawaoon se marasim munqitta kar le
Tau khud mein doob kar be-jaan ho jaye tau
Suno
Jeene se is tarah munh morra nahee kartay
Ta’aluq is tarah torra nahee kartay
Muhabbat is tarah chora nahee kartay…

:(

bahut khoob! :(

Jaan day kar bhi jo niklay to salamat niklay