Taluk is tarha toora nahi kertay
Kay phir say joorna dushwaar ho ja’ay
Hayat ik zehar main dobe hoi talwaar ho ja’ay
Mohabaat is tarha tora nahi kertay
Khafa hone ke rasmain hain
Biger’nay kay tareekay hain
Rawaj-o-rasm-e-tark-e- dosti pay so ketabaain hain
Likha hai jin main
Rishta waz-e-dare ka youn he chora nahi kertay
Kabhi bulbul guloo’n ke khamshee say rooth jate hai
Par aglay saal sab kuch bhool ker phir loot aate hai
Agar poodoo’n say pani door ho ja’ay…
To hamsaya darakhtoo’n ke jaroo’n (roots) say
payghaamat aatay hain
Mohabaat main sabhi ak doosray ko aazmaatay hain
Magar aisa nahi kertay
Kay her umeed her imkaan mit ja’ay
Kahan tak khichnee hai door
Hamaisha chaar-dewaari main ik darwaza rakhtay hain
Judai mustakil ho ja’ay
To ye zindage Zindaan ho ja’ay
Agar khushboo hawaaoo’n say marasaam munkata ker lay
To khud main doob ker be-jaan ho ja’ay
Suno
Jeenay say moo’n moora nahi kertay
Mohabaat is tarha choora nahi kertay