~ Taabeer kho gaee kabhi sapna badal gaya ~

Aankhoon ka rang baat ka lehja badal gaya
Woh shaks ek shaam mein kitna badal gaya

Kuch dino tu mera aks raha aaenay mein naqsh
Phir yun huwa ke khud mera chehra badal gaya

Jab apne apne haal pe hum tum na reh sakay
Tu kya huwa jo hum se zamaana badal gaya

Qadmoon tallay jo rait bichi thee woh chal pari
Us ne churaaya haath tu sehra badal gaya

Koi bhi cheez apni jagah per nahee rahi
Jaatay hi ek shaks ke kya kya badal gaya

Ek sargoshi ki mauj ne kaisay kiya kamaal
Woh be-niyaaz sara ka sara badal gaya

Uth kar chala gaya koi waqfay ke darmeyaan
Parda utha tu saara tamaasha badal gaya

Hairat se saaray lafz ussay dekhtay rahay
Baatoon mein apni baat ko kaisay badal gaya

Kehne ko ek sehan mein deewar hi bani
Ghar ki fiza makaan ka naqsha hi badal gaya

Shayad wafa ke khail mein ukta gaya thaa woh
Manzil ke paas aakay jo rasta badal gaya

Qayyam kisi bhi haal pe duniya nahee rahi
Taabeer kho gaee kabhi sapna badal gaya

Manzar ka rang assal mein saaya thaa rang ka
Jis ne ussay jidhar se bhi dekha badal gaya

Andar ke mausamoon ki khabar us ko hogaee
Us nau bahaar naaz ka chehra badal gaya

Aankhoon mein jitne ashk thay jugnoo se ban gaye
Woh muskuraaya aur meri duniya badal gaya

Apni gali mein apna hi ghar dhoondtay hain logh
Na jaane kaun shehar ka naqsha badal gaya …

Re: ~ Taabeer kho gaee kabhi sapna badal gaya ~

two thumbs up ..

Re: ~ Taabeer kho gaee kabhi sapna badal gaya ~

Aankhoon mein jitne ashk thay jugnoo se ban gaye
Woh muskuraaya aur meri duniya badal gaya

very nice…:k:

Re: ~ Taabeer kho gaee kabhi sapna badal gaya ~

Thanks Ghazal and reet ...

Seen you after a long time in my post GKK ... thank you for your visit.

Re: ~ Taabeer kho gaee kabhi sapna badal gaya ~

One of my favs by AIA…beautiful selection zawanfira:k: :slight_smile:

Re: ~ Taabeer kho gaee kabhi sapna badal gaya ~

Wonderful poem Arif sahab.. Thank you for sharing :slight_smile:

Re: ~ Taabeer kho gaee kabhi sapna badal gaya ~

Thank you Amal and KhamoshNigahein for appreciating my selection ...