Sussar Jee sey chutkaara kaisey paaya jaaye? Aayey mulaahiza kartey hain.


Doobtay hue eik shakhs ko eik naujawaan nay ba-mushkil samandar sey bahir nikaala. Hosh mein aaney per boorhay nay najawaan ka shukriya adaa kartey hue kaha:

“Tumharay karnamay sey mutasir ho kar mein tumhein eik behteereen inaam dena chahta hoon. Jaantey ho, woh inaam kiya hai? Mein apni beti ko tumharay nikah mein dey donga?”

Najawaan nay ghoom kar sanjeedgee sey boorhay ki beti ki taraf dekha jo wahin kardhi sharmaa rahee thee. Phir achaanak usnay boorhay ko uthaa kar kandhay per laa diya.

Beti nay poocha - “Aap merey abba ko lay kar kahan jaa rahey hain”?

Najawaan nay jawab diya, “Samandar mein phainknay”.

Re: Sussar Jee sey chutkaara kaisey paaya jaaye? Aayey mulaahiza kartey hain.

Aur aap apne sasur ji se chutkara pa gaye:D

Re: Sussar Jee sey chutkaara kaisey paaya jaaye? Aayey mulaahiza kartey hain.


Kafee arsay kay baad nazar aayi hain aap. Khail Khilari walay hazraat buhat yaad kar rahey hain aapko. :D

Re: Sussar Jee sey chutkaara kaisey paaya jaaye? Aayey mulaahiza kartey hain.


AAti to roj hoon lekin post bas kabhi kabhi karati hoon.waise KK mein kuch logon ko hamari majudagi pasand nahi isliye aajkal wahan par hamari entry ban hai

Re: Sussar Jee sey chutkaara kaisey paaya jaaye? Aayey mulaahiza kartey hain.


Shuker hai Khuda ka, hamari jaan chooti.

:D

Re: Sussar Jee sey chutkaara kaisey paaya jaaye? Aayey mulaahiza kartey hain.


arey itani jaldi nahi:D

Re: Sussar Jee sey chutkaara kaisey paaya jaaye? Aayey mulaahiza kartey hain.

funny!