Re: Sureeli Ghazlen aur Nazmen
Firdous jhoom uthe
Faza muskara uthe
Tum muskara utho to
Khuda muskara uthe
Ek baar muskara do
Ek baar muskara do
Afsana-e- chaman ka unwan hi badal do
Pholon ka sir kuchal do
kalion ka dil masal do
Akash ki jawani
Badal mein moon chupai
Mehtab doob jaaye
Taroon ko neend aaye
Zuhra jabeen pari rukh
Tamseel-e-mah-e-anjum
Ankhein sharab aadi
Jazbaat mein talatum
Khilte huwe labon per
Hansta huwa taraana
Ae dil nawaz peker
Khatir mein hai zamana
Lab hein ahmareen per
Nikhri hoi hai laali
Yeh halki halki surkhi
Tasweer hai shafaq ki
Awara shokh zulfien
Rukhsar choomti hein
Rukhsar choomti hein
Be khud hi ghomti hein
Ho zeest ka sahara
tum moj mein kinara
Lakin suno Khudara
Ek baar muskara do
Ek baar muskara do
Ek nojawan musafir
Fitrat ka la ubali
Ek aalam-e-junoon mein
Ek samt ja raha tha
Jaise ke apni dhun mein
parbat pe char raha tha
Zulfein ke muntashir thi
Chehre se muzhamil tha
Nazrein ke rah pe thein
Kitna shikiast-e-dil tha
Maazi ke dhundlakoon mein
Ek aks paa raha tha
Guzra huwa zamana
Phir yaad aa raha tha
Armaan tarap rahe the
Hasrat machal rahi thi
Be taab zindgani
Kerwat badal rahi thi
Gin Gin tare
Hai bechare
Chain na aai
Gee ghabraye
Dekh to kiya hai
Kon basa hai
Deed-e-ter mein
Neechi nazar mein
Sheesha-e-dil mein
Ankh ke til mein
Dil ko jalaana
Khel hai janan
Dil ko jala ker
Aag laga ker
Khud bhi jalo gai
haath malo gai
Tum shama-e-farozan ho
Khud bhi jalo jala do
Lakin
Ek baar muskara do
Ek baar muksara do
Tum jan-e-muda`a ho
Ek husn dilruba ho
Itna to mein kahoon ga
Meri hi is gazal ka
Rangeen kafiaa ho
Ek baat tum se poochoon
Bolo jawab do gai?
Yeh husn yeh jawani
Sarkaar kya kero gai?
Hontoon ki muskarahat
becho kareed loon ga
Manzoor ho to bolo
Anmol daam doon ga
Lakin
Ek baar muskara do
Ek baar muskara do
MUNNI BEGUM EK BAR MUSKURA DO - YouTube