Sureeli Ghazlen aur Nazmen

Re: Sureeli Ghazlen aur Nazmen

Poet: Basheer Badr, Singers: Ustad Raees Alikhan and Tahira Syed

Yunhi Besabab - Ustad Raees Khan, Tahira Syed - YouTube](http://www.youtube.com/watch?v=dRuKjQQ8OF0)


Restored attachments:

Re: Sureeli Ghazlen aur Nazmen

Poet: Ahmed Faraz, Singer: Jagjeet Singh / Madam Noorjehan

Teri baatein hi sunaane aaye
Dost bhi dil hi dukane aaye

Phool khilte hain to ham sochte hain
Tere aane ke zamaane aaye

Aisi kuch chup si lagi hai jaise
Ham tujhe haal sunaane aaye

Ishq tanha hai sar-e-manzil-e-gham
Kaun ye bojh uThane aaye

Ajanabi dost hamein dekh k ham
Kuch tujhe yaad dilaane aaye

Dil Dhadakta hai safar k hangam
Kaash pir koi bulaane aaye

Ab to rone se bhi dil dukhta hai
Shaayad ab hosh Thikaane aaye

Kyaa kahein pir koi basti ujdii
Log kyuun jashn manaane aaye

So raho maut ke pahluu mein ‘Faraz’
Neend kis vaqt na jaane aaye

jagjit singh,teri baatein hi sunanay aye,ahmed faraz,1980’s - YouTube
Teri batein hi sunane aaye (Noor Jahan) - YouTube](http://www.youtube.com/watch?v=kT0HIY79-Us)

Re: Sureeli Ghazlen aur Nazmen

Poet: Ahmed Faraz; Singer: Gulbahar Bano

Tu Paas Bhi Ho Tu Dil Beqaraar Apna Hai
K Ham Ko Tera Nahi Intezar Aapna Hai

Woh Dur Ho Tu Baja Terk-E-Dosti Ka Khiyal
Woh Saamnay Ho Tu Kab Ikhtiyaar Apna Hai

Zamanay Bher K Dukhon Ko Laga Liya Dil Se
Is Aasray Pe K Aik Ghamgusaar Apna Hai

Milay Koi Bhi Tera Ziker Chair Daitay Hain
K Jaisay Saara Jahan Raazdaar Apna Hai

tu paas bhi ho to dil beqaraar apna hai sung by gul bahar - YouTube](http://www.youtube.com/watch?v=uLA8MlavT8M)

Re: Sureeli Ghazlen aur Nazmen

teri baten <<<<<jagjit:music:

Re: Sureeli Ghazlen aur Nazmen

Poet: Iftikhar Arif; Singer: Tina Sani; Madam Noorjehan

Dayar-e-Noor Mein Teera Shabon Ka Saathi Ho
Koi To Ho Jo Mairi Wahshaton Ka Saathi Ho

Main Uss Say Jhoot Bhi Bolun To Mujh Say Sach Boley
Mairey Mizaaj Ke Sab Mosamon Ka Saathi Ho

**Main Uss Ke Haath Na Aaoon Woh Maira Ho Ke Rahey
Main Gir Paroon To Mairi Pastiyon Ka Saathi Ho
**
Woh Mairey Naam Ki Nisbat Say Motabar Thehrey
Gali Gali Mairi Ruswaiyon Ka Saathi Ho

Main Apney Aap Ko Daikhoon Woh Muj Ko Daikhey Jaye
Woh Mairey Nafs Ki Gumrahiyon Ka Saathi Ho

Woh Khawab Daikhey To Daikhey Mairey Hawaley Say
Mairey Khayal Ke Sab Manzaron Ka Saathi Ho !

Re: Sureeli Ghazlen aur Nazmen

Kalam : Faiz Ahmed Faiz

chaa.Nd nikale kisii jaanib terii zebaa_ii kaa
rang badale kisii suurat shab-e-tanhaa_ii kaa

daulat-e-lab se phir ai Khusrav-e-shirii.n-dahan aaj
rizaa ho ko_ii harf shanaasaa_ii kaa

diidaa-o-dil ko sambhaalo ki sar-e-shaam “Firaq”
saaz-o-saamaan baham pahu.Nchaa hai rusvaaii kaa

Re: Sureeli Ghazlen aur Nazmen

Poet: Hafeez Jalindhri; Singer: Malika Pukhraaj & Tahira Syed

ABHI TU MAIN JAWAN HOON - MALIKA PUKHRAJ & TAHIRA SAYED](VidPk.com is for sale | HugeDomains)
ABHI TO MEIN JAWAN HOON - YouTube](http://www.youtube.com/watch?v=gNe9vgtz6vU)


Restored attachments:

Re: Sureeli Ghazlen aur Nazmen

Poet: Amjad Islam Amjad; Singer: Abrar ul Haq

Abrar - Agar kabhi meri yaad aye - YouTube](http://www.youtube.com/watch?v=_xYuYqgVqDo)


Restored attachments:

Re: Sureeli Ghazlen aur Nazmen

**Lyrics: payaam saeedi

ham dostii ehasaan vafaa bhuul gaye hai.n
zi.ndaa to hai.n jiine kii adaa bhuul gaye hai.n

****Khushbuu jo luTaate hai.n masalate hai.n usii ko
ehasaas kaa badalaa ye milataa hai kalii ko

ehasaas to lete hai.n silaa bhuul gaye hai.n
****karate hai.n muhabbat kaa aur ehasaas kaa saudaa

matalab ke liye karate hai.n iimaan kaa saudaa
Dar maut kaa aur Khauf-e-Khudaa bhuul gaye hai.n

****ab mom me.n Dhalakar ko_ii patthar nahii.n hotaa
ab ko_ii bhii qurbaan kisii par nahii.n hotaa
kyuu.N bhaTake hai.n manzil kaa pataa bhuul gaye hai.n

**

Re: Sureeli Ghazlen aur Nazmen

Poet: Ahmed Faraz; Singer: Salman Alvi

ahmed faraz - yeh kya ke sub say bayaan - salman alvi sings یہ کیا کہ سب سے بیاں - YouTube


Restored attachments:

Re: Sureeli Ghazlen aur Nazmen

Poet: Parveen Shakir; Singer: Tasawwur Khanam

[Tasawar Khanum] Toothi Hai Meri Neend Magar [Parveen Shakir] Ghazal - YouTube](http://www.youtube.com/watch?v=3xY4FRmulLQ)

Re: Sureeli Ghazlen aur Nazmen

khwab ki tarah bikhar jane ko ji chahta hai
aisi tanhai k mar jane ko ji chahta hai

ghar ki wehshat se larzta hun magar jane kyon
sham hoti hai to ghar jane ko ji chahta hai

dub jaun to koi mauj nishan tak na bataye
aisi nadi mein utar jane ko ji chahta hai

kabhi mil jaye to raste ki thakan jag pare
aisi manzil se guzar jane ko ji chahta hai

wahi paiman jo kabhi ji ko khush aya tha bahut
usi paiman se mukar jane ko ji chahta hai

Poet: Iftikhar Arif, Singer: Aamir Saleem

Re: Sureeli Ghazlen aur Nazmen

Poet: Jawed Akhtar; Singer: Kumar Sano

Kathai Aankhon Wali - YouTube](http://www.youtube.com/watch?v=t-Lnt_aCS0I)


Restored attachments:

Re: Sureeli Ghazlen aur Nazmen

Poet: Allama Iqbal; Singer: Rahat Fateh Ali Khan

Kalam e Iqbal by Rahat Fateh Ali KhanVirsa heritage revived Kabhi aye Haqeeqat e Muntazar nazar aa2 - YouTube


Restored attachments:

Re: Sureeli Ghazlen aur Nazmen

Poet: Zahid Fakhri; Singer: Dr Amjad Parwez*

Usey apney farda ki fiker thi wo jo mera wakif-e-haal tha
Wo jo us ki subh-e-urooj thi wohi mera waqt-e-zawaal tha

Kahan jao gay mujhe chor kar main ye pooch pooch k thak gaya
Wo jawab bhi na de saka wo to khud sarapa-e- sawaal tha

Wo jo us ke samne aa gaya wohi roshni mein naha gaya
Ajab us ki haibat-e-husan thi ajab uska rang-e-jamal tha

Dam-e-wapsi pe kia hua na wo roshni na wo taazgi
Wo sitara kaise bikhar gaya wo to ap apni misaal tha

Sadion k baad mila b to merey lab pe koi gila na tha
Ussey meri chup ne rula diya jise guftagu mein kamaal tha

Wo mujhe se mil k ro diya faqat itna wo keh saka
Jise jaanta tha wo zindagi wo to bas wahm-o-khayaal tha*

Usey Apnay Farda Ki Fikr Thi اسے اپنے فردا کی فکر تھی - YouTube

Re: Sureeli Ghazlen aur Nazmen

Poet: Allama Iqbal; Singer: Hamid Ali Khan

دل کی بستی عجیب بستی ہے
لوٹنے والے کو ترستی ہے

ہو قناعت جو زندگی کا اصول
تنگ دستی، فراخ دستی ہے

جنس دل ہے جہان میں کم یاب
پھر بھی یہ شے غضب کی سستی ہے

ہم فنا ہو کے بحی فنا نہ ہوءے
نیستی اک طرح کی ہستی ہے

آنکھ کو کیا نظر نہیں آتا
ابر کی سی طرح برستی ہے

Re: Sureeli Ghazlen aur Nazmen

The above ghazal is from unpublished work of Dr. Iqbal.

In his youth when he was student of Daagh dehlavi he wrote very beautiful ghazals, but while publishing his work he decided not to put that work in collection.

the reason will be clear to listener :)

Re: Sureeli Ghazlen aur Nazmen

Saagar roye lehrain shorr machayein.
Yaad piya ki aaye, naina bhar aayein.
Lipat lipat ke lehrain ghoomein,
Barh badh ke saahil ko chumein,
Hum dukhiyare thaam ke dil rah jaein,
Yaad piya ki aaye, naina bhar aayein.

Jab harajayee bhanware aa ke,
Kali kali ko pyar jataa ke
Mast bana ke, door kahin urr jaein,
Yaad piya ki aaye, naina bhar aayein.

Lyrics by: Tanvir naqvi
Singers: Noor jehan, Gulbahar bano

Saagar roey - Noor Jahan - YouTube

Gulbahar Bano in PTV’s Program Sub Geet Mere - Sagar Roey - YouTube

Re: Sureeli Ghazlen aur Nazmen

har chand sahara hai tere pyar ka dil ko
rehta hai magar aik ajab khaf sa dil ko

woh khuaab k dekha na kabhi le ura neendain
woh dard k utha na kabhi kha gaya dil ko

yaan saans ka laina bhi guzar jana hai jee se
yaan marka e ishq bhi ik khel tha dil ko

woh aein to hairan woh jaein to pareshaan
yaa rab koi samjhaye yeh kya hogaya dil ko

Who is the poet? Singer: Nayyara Noor

NAYYARA NOOR ( HAR CHAND SAHARA HAY ) - YouTube

Re: Sureeli Ghazlen aur Nazmen

Raatein thein chandani, joban pe thi bahaar

Baaghoun mein phool jhoom rahey thay khushi ke saath hanstaa tha paat paat
itney mein aik bhanware ki pyaasi nigaah ney dekha jou door sey,
aik phool jhoom jhoom ke hanstaa tha baar baar

Urtaa hua machalta hua aa gaya wahan phooloun ke aas paas
kuch geet gunguna ke sunaney laga usey ulfat sey, pyaar sey
dekha jo chaand ne ye tamasha tou tarap gaya badal mein chupp gaya
bhanware ka pyaar dekh kar sharma gaya gulaab sar ko jhuka loya
phooloun ki is adaa pe usey pyaar aa gaya
bhanware ne barh ke phool ko dil se laga liya

Ik roaz kya hua khaamosh thi fiza
thay aasman pe chaand na taarey na chandani, yaani ke dpahar
bhanware ki narm goad mein soya hua tha phool duniya se bekhabar
bhanwara chura ke aankh nihayat safayee se hauley se uth gaya
phooloun mein jitna ras tha woh chori se pii gaya chupke se urr gaya
angrayee ley ke phool utha jab hawa chali
dekha tou us ki mast jawani thi lutt chuki

pehley tou is sitam sey woh hairaan ho gaya sadmey se rou diya
phir paagloun ki tarhan pareeshan ho gaya bejaan ho gaya
yun phool ko dekha tou siski hawa ne li har patti kaamp uthi
taarey se yeh naa dekha gaya aankh moond li shabnam bhi ro pari

Ab bhi chaman mein aati hai pholoun pe jab bahaar
naghmoun mein apney qissa sunaati hai yeh hazaar

Lyrics by: Fayyaz hashmi, Raz ilahbaadi, waheed qureshi
Film: Baazi 1970
Singer: Habib wali Muhammad

[raatain thien chandani - Habib Wali Muhammad - YouTube](http://www.youtube.com/watch?v=unFKqdSOSt0)