Sureeli Ghazlen aur Nazmen

Re: Sureeli Ghazlen aur Nazmen

Poet: Raza Tirmizi, Singer: ustaad Amanat Ali

Dil main dard ke meethe meethe phool khile
phir yaadon ki hawa chali phir shaam hui

Ishq safar tha tanhai ke sehra ka
unse rasm o raah to do ik gaam hui

Teri khatir tera naam na lete the
lekin chup ki baat boht badnaam hui

Kon pukare ga yun tujhko dekh na ja
dil ke ik ik dhaRakan tera naam hui

jaane kaisa khwab tha barson beet gae
jab se aankhen kholin neend haraam hui

USTAD AMANAT ALI KHAN — DIL MEIN MEETHE MEETHE DARD - YouTube