Re: Sureeli Ghazlen aur Nazmen
kisi aur gham mein itni khalish nihaaN nahi hay
gham-e-dill meray rafeeqo gham-e-raigan nahi he
koi hum nafas nahi hay, koi raazdaaN nahi he
faqat ek dill tha ab tak so wo mehrabaaN nahi he
kisi aankh ko sada do kisi zulf ko pukaro
bari dhoop par rahi he koi saaibaaN nahi he
inhi pathron pay chal kar agar aa sako tu aao
meray ghar k rastay mein koi kehkishaaN nahi he
Poet: Mustafa Zaidi; Singer: Asad Amanat Ali
Poetry is superb.. kabhi suna nahin . sun kar batao kaisi hai
Asad Amanat Ali Khan sings Mustafa zaidi- Kisi aur gham mein itni …