Eik saheb Masjid e Quba mein namaz parhate thay. inn ka tareeqa yeh tha k her rak’at mein pehle Soora e Ikhlaas parhtay, phir koi aur sooeat tilawat karte. logoN ne e’teraz kiya tou unhoN ne kaha: “mein issay nahin chor sakta. tum chaho tou tumhein namaz parhaaoN warna amaamat chor doon ga”.
muamla Nabi e Paak sallalahu alehi wa aalehe wassalam k saamne paish kiya gaya tou Aap sallalahu alehi wa aalehe wassalam k poochne per inn saheb ne jawab diya:“Mujhe iss se mohabbat hai”.
Aap sallalahu alehi wa aalehe wassalam ne farmaya:“iss soorat se tumhari mohabbat ne tumhein jannat mein daakhal kar diya”.
[QUOTE]
*Originally posted by blushing_vision: *
Eik saheb Masjid e Quba mein namaz parhate thay. inn ka tareeqa yeh tha k her rak'at mein pehle Soora e Ikhlaas parhtay, phir koi aur sooeat tilawat karte. logoN ne e'teraz kiya tou unhoN ne kaha: "mein issay nahin chor sakta. tum chaho tou tumhein namaz parhaaoN warna amaamat chor doon ga".
muamla Nabi e Paak sallalahu alehi wa aalehe wassalam k saamne paish kiya gaya tou Aap sallalahu alehi wa aalehe wassalam k poochne per inn saheb ne jawab diya:"Mujhe iss se mohabbat hai".
Aap sallalahu alehi wa aalehe wassalam ne farmaya:"iss soorat se tumhari mohabbat ne tumhein jannat mein daakhal kar diya".
[/QUOTE]