Is dua ki bohat ahmiyat hai.
insan ki haqiqi dua yahi hai k insan khuda tak pohnchne ka seedha raasta talaash kare.
kisis bhi matlab k husul k liay wsail ka ismal krna zruri hota hai.jub tak mehnat aur koshish aur dua se sirrat-e-mustaqem ki talash na ki jae, kamyabi hasil nhen ho sakti.
jub bunda apne khuda se razi rahe aur us se muhabat krne lage, usi se munajaat mange, apni chal seedhi kare, Allah uski madad kare, tb bunda apne har kam k sath apne rub ki taraf aa jata hai.is se dunya bhi milti hai aur deen bhi mil jata hai
3 chezon k bgair hdayat nhen mil sakti.
1.Quran sharif
2.Sunnat-e-Rasool SalAllaho alaihe wasallam. (Anhuzur salAllaho alaihe wasallam ka twatar k sath kia gya amal)
3.Hadith (Anhuzur SalAllaho alaihe wasallam k waqiaat)
Islam ka naam istqaamat hai.insaan k wajud ka maqsad Allah ki ibadat hai.insan ki istqaamat ye hai k jesa k wo Khuda k liay peda kia gya hai aesa he wo khuda ki taraf bilkul seedha ho jae.tub wo aik nya insan ho jata hai.is paak zindagi pane ka muqam yahi dunya hai. jo is jahan mein andha raha wo us jahan mein bhi andha rahe ga.