sunsaan se ghar ka kya karoongee main...?

**tanha rehguzar ka kya karoongee main..?
tere bin safar ka kya karoongee main..?

dil mein dekhun , tu nazar na aaye
aisi bhi nazar ka kya karoongee main..?

chhupa to loongee main chehre ki silvatien
is dil ki fikar ka kya karoongee main…?

tera naam to mitaa doon main yahan se
phir deewar-o-dar ka kya karoongee main..?

kyon mera daaman jalaaye jaate ho..?
apne deeda-e-tar ka kya karoongee main…?

khwaabon se khaali kar chale ho dil…
sunsaan se ghar ka kya karoongee main…?**

Re: sunsaan se ghar ka kya karoongee main...?

bohat achy

Re: sunsaan se ghar ka kya karoongee main...?

thanks