koi zabt day na jalal day
mujhay sirf itna kamal day
main her aik kee sada bunno
k zamana meri misaal day
teri rehmatoon ka nazool ho
meri mehnatoon ka sila milay
mujay maal o zar ke hawas na ho
mujay bus tu rizq-e-halaah day
meray zahen main teri fikar ho
meri saans main tera zikar ho
tera khauf meri nijaat ho
subhi khauf dil say nikaal day
teri baargah main aye khuda
meri roz-o- shub yehi dua
tu raheem hey tu kareem hey
tu sabhi bulaoon ko taal day (aamen)