Suno,
Main tumhain nahin cha sakti
Magar shaid Khuda nay mujjay tumharay liya chun liya hay
Us kay fesloon kay agay mera baas kiya kisi ka bhi nahin chalta
Muhabat tum bhi mujj say nahin kartay mantin hoon main
Wafa bhi kahan kaar pao gay, jantin hoon main
Chahna chaho gay zindagi kay kisi moor pay shaid
Apnay ap ko tab phir samja na pao gay ik paal.
Suno,
Mujjay tum say muhabat nahin hay, na ab, na tub.
Mujhay teri chah na sahi Magar ,suno, Wafa to karoon gi
Teri jo hoi to teri hi rahoon gi
Jaab taak tu bharoon ki baat ko nibha saka,
Jaab taak tu apnay ap say na haar saka
Us ki yaadoon ko band kothari main qaid rakay ga
Mujjay apna na kahay ga, usay apni zaat main shamil rakay ga
Na tu ho saka us ka, daar hay kay mera bhi na baan sakay ga
Agar cha saab ki nazroon main tu mera ho ga lakin socho to
Peetal pay pani charay zevar ko zavar kaha to ja sakta hay
Doosroon ko kiya pata, lakin hood ko tp pata hota hay…
Hood ko kiya dhoka de saktay ho?
Hain?
Batao na?
Is pagal ko kooch samjhao na
Main petal hoon mujjay sona bana kay dika saktay ho?
Kaar pao gay?
Soch lo……