Wafa Ruswaa Nahee’n Karna
Kabhi Aisa Nahee’n karna
Main Pahlay Hee Akailee Hoon
Mujhay Tanha Nahee’n Karna
Mayri In Jheel See Aankhoo’n Main…
Kabhi Sehra Nahee’n Karna
Judai bhi jo aa’ey…
Tou DIL mayla Naheen Karna
Buhat Masrooof rahtay Ho…
Mujhay Socha Naheen Karna
Bharosa Bhi Zarori hay … Magar Sab Ka Nahee’n Karna
Muqad’dar Phir Muqad’dar Hay,
Koi Daa’waa Nahee’n Karna
Jo Lik’kha Hay Wahi Hoga …
Kabhi Shikwaa Nahee’n Karna
Wafaa Ruswaa Nahee’n Karna…
Suno Aisa Nahee’n Karna …
:~(