**suno tum ne kaha tha na!!
mjhy jazb-e-muhbt say kabhi jo tum pukaro gi
main uss din lot aaon ga!!
to daikho na!!
kai lamhon
kai salon
kai sadiyon
se tera rasta takti
yeh meri muntzar ankhain
mere dil ki ye dharkan aur sansain
bus tumhara naam laiti hain
wohi ik wird karti hain
meri ankhon k sahil par
teri khwahish ki mojoan ne
bari halchal mchai hai
teri tasveer,sookhay phool aur tohfay!
teri chahat ki khushbu main
abhi takk sans laitay hain
woh sabb rastay k jin par tum hmaray sath chaltay thay
woh sabb rastay jahan teri hansi k phool khiltay thay
jahan pairhon ki shakhon par
hum apna naam likhtay thay
udasi say bharay manzar
tumharay lot kar anay ki umeedain dilatay hain
suno kuch bhi nahi badla
tumharay paaun ki awaz sun’nay ki
mere kamray ki bai tarteeb chezain muntazir hain
suno!!!
takmeel paati chahton ko yun adhoora to nahi choro
mujhay matt azmao tum
chalo abb lot aao tum!!!**
Re: ~~~~Suno tum ne kaha tha na~~~~
Bohat khoob
Aryaan
3
Re: Suno tum ne kaha tha na
It’s Beautiful Maya..:k:
Re: ~~~~Suno tum ne kaha tha na~~~~
Its very nice poem
Re: ~~~~Suno tum ne kaha tha na~~~~
thnx Aryan
Tere naam And
Parvez.....:)
Sannan
6
Re: Suno tum ne kaha tha na
suno mein nay Mazaq kia tha 
Re: Suno tum ne kaha tha na
umda nazm maya :k: keep posting gud stuf lyk dat !
suno aisa mazak nai karte:ASA:
Re: ~~~~Suno tum ne kaha tha na~~~~
very nice poem!
Re: ~~~~Suno tum ne kaha tha na~~~~
Thanks Being Lonely
And
Blue angel
Sannan
11
Suno mein karo ga
kar lo jo karna hay 
Re: ~~~~Suno tum ne kaha tha na~~~~
Duniya hai he zalim
Sannan
13
:no:
Dunya ray Dunya Very Good very good
Dunya wallay very bad very bad 
Re: Suno tum ne kaha tha na
tum bhi duniya walon main he atay ho:barbie:
Re: ~~~~Suno tum ne kaha tha na~~~~
**woh kethi hai ... **
k tum bahut yaad ate hoo
**guzaray thay jo, pall tmhray saath **
**woh pal **
meri sansoo mai ghul krr
meray lehoo mai behtay hain ..
mjhe bahut tang krte hain ..
**sach kehti hoo jan'na **
**abb k sawan laut ayoo **
k , tum bht yaad ate hoo ..
**mai kehta hoo .... **
sunoo pagli ...
yakeen janoo ..
tum say door ho kr ..
**main bhi **
unhi lehmoo mai jeetay hoo ... marta hoo ..
pir mai kya kroo ..jan'na ..
ajab is duniya-e-mubhat k asool hote hain ..
jo ek bar ruth kr chalain jayee ..
woh lauta nhi krtay ...
sunoo pagli ..
tum bhi mjhe bht yaad ati hoo ..
pir mai kya kroo ..
mjhe rasm-e-mubhat nibhani hai ..
kiya tha jo akhri wadha .. woh nibhana hai ..
**tum chahti ho jo .woh ho nhi skta **
"MAIN LAUT NHI SKTA "
**sunoo pagli **
"MAIN LAUT NHI SKTA"........................................... zia
**woh kethi hai ... **
k tum bahut yaad ate hoo
**
Jhoot bolti hai:p**
Jhoot bolti hai:p
jee nhi woh sach bol rhi thi .... 9 bje wali news mai b aya tha .....!!
its very nice…i reallly liked it…gooooooooooood!!!
**
Jhoot bolti hai:p**
iss muamlay main woh jhoot nahi bolti...:)
Re: ~~~~Suno tum ne kaha tha na~~~~
^ thanks for appreciation.... app k liye likhi .... hehe