-- Suno tum loaT aao na --

Suno! tum loaT aao na

LaboN ko khaamshi
DhaRkan ko khadshoN,
Dil ko be-chaini sey kar k aashna
ye kon sey anjaan raste k
musaafir ho gaye ho k
tumhara har qadam mujh sey tumhein bas door karta hey
Faqat majboor karta hey
K baRhte hi chaley jaao

Suno jaanaaN! yaqeeN jaano
k iss anjaan rastey ki fizaaen aisi saahir heiN
K tum ye bhool jaao ge
koi palkein bicHaaye
Khaamshi oRhey
tumhaari raah takta hey…!
Khud apney aap se baRh kar
tumhaari chaah rakhta hey…!

Suno JaanaaN! YaqeeN jaano
k iss be-ant rastey par andhera raaj karta hey
K tum ko roshni se ishq tha’
Ye bhool jaao ge
Aseer-e-zulf-e-zulmat ho k
khud ko bhool jaao ge
Wafa ko, roshni ko, Zindagi ko bhool jaao ge
Khudi ko bhool jaao ge…!
Sabhi ko bhool jaao ge…!

Suno JaanaN! yaqeeN jaano!
k iss anjaan se be-ant rastey ki nahin manzil!!
WafaaoN, khwahishoN ka, aarzuoN ka hey ye qaatil!!
tumhein bHatka k rakh dey ga!
tumhein behka k rakh dey ga
K mujh sey door kar dey ga!
Bohat majboor kar dey ga!
So bas ab aur mat baRhna!!!
YahiN sey loaT aao tum…!

Suno JaanaaN!
LaboN ki khaamshi
DhaRhan k khadshey
Dil ki be-chaini
Sabhi tum ko bulaatey hain
To ab tum loaT aao naa
Suno! tum loaT aao naa

Acha Ji:)

P.S excellent choice Gul:)

agae :AID:

Re: – Suno tum loaT aao na –

zaberdast :k:

Re: -- Suno tum loaT aao na --

bohut khoob

bohat aala…:lajawab:

Re: -- Suno tum loaT aao na --

beautiful

Indeed

bohat khoob gul :)

Re: -- Suno tum loaT aao na --

Zabardast..

Re: -- Suno tum loaT aao na --

beautiful