Suno tum laut aoo na
Wo dekho chaand nikla hai
sitaray jagmaga rahay hain
Hamari muntazir ankhain
Duaayen mangti ankhain
Tumhain he sochti ankhain
tumhain he dhondhti ankhain
Tumhain wapis bulati hain
Yeh dil jab bhi dharkta hai
Tumhara naam laita hai
Yeh ansoo jab bhi behtay hain
Tumharay dukh me behtay hain
Yeh barish jab bhi hoti hai
Tumhain yaad karti hai
Khushi jo koi ayee bhi
Tumharay bin adhuri hai
:k: bohat achay bhaii i like this kind of poems !khush rahiye jahan rahiye Amin! janay walay ko na roka jaa sakta hai na usko bulaya jaa sakta hai bas arzuu he dil mein tarapti hai k woh na jaaye ya woh wapis aa jaye !