JaaN KaR KYuN MuJhe Woh SaTaaTe Rahe
KYuN SaDa Hi MeRa DiL JaLaTe Rahe
PYaaR Ki Rah MaiN SilSiLa Yeh Raha
RooThTe Woh Rahe HuM MaNaTe Rahe
Raat BhaR YaaD MaiN Un Ki Rote Rahe
HaR GaDhi Jo HuMeiN Bas SaTaaTe Rahe
AaG AiSi LaGi ZinDaGi MaiN Ke HuM
BaS BuJhaTe Rahe Bas BuJhaTe Rahe
KaT GaYi UmaR AuRoN Ko KhuSh RaKhNe MaiN
LoG The Ke MeRa DiL DuKhaTe Rahe
PhooL Ne KaR DiYa HuM Ko ZaKhMi BaHut
HuM To KaNtoN Se DaaMaN BaChaTe Rahe
Us Ne De Ke DaGha HuM Ko ApNa KaHa
AuR HuM The Ke BaaToN MaiN Aate Rahe
KaR DiYa Us Ne RuSwaa BhaRi BaZm MaiN
RaaZ-E-DiL HuM JiSe SaB BaTaaTe Rahe
KiTNe NaaDaaN The Jo SaMaJh Na Sake
KhuWaaB Ki NeeW Pe GhaR BaNaaTe Rahe
ZinDaGi Ne DeKhaYeiN Bahut TalKhiYaaN
PhiR Bhi NaGhMeiN KhuShi Ke Hi GaaTe Rahe
DaRD-O-GhaM SaRe ApNe ChuPaTe HoYe
MuSkuRate Rahe MuSkuRaate Raheā¦