kabhi naraz mat hona
gily chahy boht kerna
rulana oar bohot larna
suno naraz mat hona
kbhi aisa jo ho jay
k teri yaad sy ghafil
jo kisi lmhy main ho jaon
bina daikhy teri soorat
kisi shab main gr so jaon
to sapnoo main chaly aana
mujhy ehsaas dila jana..
suno naraz mat hona
kbhi aisa jo ho jay
jinhain kehna zarori ho
wo mujh se lafz khou jain
Anaa ko beech mat lana
meri awaz ban jana
suno naraz mat hona…