Ajjab din thay muhabbat ke
Ajjab mausam thay chahat ke
Kabhi gar yaad aajayen tu palkoon per
Sitaray jhilmilaatay hain
Kisi ki yaad main ratoon ko aksar
Jaagna mamool thaa apna
Kabhi gar neend aajati tu hum yeh soch letay thay
Abhi tu woh hamaare wastay roya nahee hoga
Abhi soya nahee hoga
Abhi hum bhi nahee rotay
Abhi hum bhi nahee sotay
So phir hum jaagtay aur us ko yaad karte thay
Akele beth kar weraan dil abaad kartay thay
Hamaare samne taaron ke jhurmat main akela chaand hota thaa
Jo us ke husn ke aagay bahut hi maand hota thaa
Falak per raqs karte an-ginnat raushan sitaroon ko
Jo hum tarteeb detay thay
Tu us ka naam banta thaa
Hum agle roz jab miltay
Tu guzree raat ki har be-kali ka zikar karte thay
Har ek qissa bataate thay
Kahaan kis wakt kis tarah se dil dharka bataate thay
Main jab kehta ke janaan aaj tu main raat ek pal nahee soya
Tu woh khamoosh rehti thee
Per us ki neend mein doobi huwi do jheel si aankhain
Achanak bol uth’tee theen
Main jab us ko bataata
Ke mein ne raat ko raushan sitaroon mein
Tumhaara naam dekhaa thaa
Tu woh kehti, ‘Razi’ tum jhoot kehtay ho
Sitaray mein ne dekhay thay
Aur un raushan sitaroon mein tumhara naam likha thaa
Ajjab masoom larki thee
Mujhe kehti thee lagta hai ke
Ab apne sitaaray mil hi jaayenge
Magar us ko khabar kya thee
Kinaray mil nahee saktay Muhabbat ki kahaani mein
Muhabbat karne waaloon ke
Sitaray mil nahee saktay
Re: Suno… Jab tumhari yaad aati hai tu palkoon per sitaray jhilmilaatay hain
Impressing :k:
Buhat hee khoobsurat nazm hai Amarbail. Kis kee likhee huee hai?
Aur haan just as spme one has alraedy advised, dont miss anyone too much
Re: Re: Suno… Jab tumhari yaad aati hai tu palkoon per sitaray jhilmilaatay hain
Thanks Ahmed, no its not written by me… This excellent work is done by Razi
Aap ki advise ke leye itna kaafi hai shaayad ke…
**
Badal gaye mere mausam tu yaar ab aaye hain
Ghamoon ne chaat liya, gham-ghusaar ab aaye hain
Yeh wakt is tarah ronay ka tu nahee lekin
Main kya karoon ke mere soghwaar ab aaye hain**
Re: Re: Re: Suno... Jab tumhari yaad aati hai tu palkoon per sitaray jhilmilaatay hain
[QUOTE]
*Originally posted by Amarbail: *
Thanks for the advise Lamhay ji... magar kya karain kisi ne kya khoob kaha hai...
*Jis qadar mein ne mitaaye teri yaadoon ke naqoosh
Dil-e-betaab ne utna hi tujhe yaad kiya hai... *
[/QUOTE]
ya this is ur life aur kisi ko kia advise dena i mean kisi ko kisi bhi baat k liye kia advise dena sab ki apni apni zindagi!
Aur dil per kisi ka koi bas thori hota hai !