LP
1
suno ye fakhr say ik raz bhi hum faash kartay hain
kabhi hum monh bhi dhotay thay, magar ab wash kartay hain
tha bachon kay liye bosa magar ab kiss hi kartay hain
satati theen kabhi yadain magar ab miss hi kartay hain
kabhi jo ammi abbu thay wohi ab mama papa hain
duaain jo kabhi detay thay wo buDhay ab syapa hain
kabhi naraaz hotay thay, magar ab mind kartay hain
jo masla kuch ulajh jaaye, solution find kartay hain
chehel qadmi kabhi kartay thay aur ab walk kartay hain
kabhi kartay thay hum batain magar ab talk kartay hain
TS
3
Re: Suno ik raaz
Kabhi bohut umdaa tha magar ab funny hai.
Adaab arz hai. 
ehsan
4
Re: Suno ik raaz
kabhi eik baar likhtey thay hum
aab twice baar post kertay hain hum. 
LP
7
Re: Suno ik raaz
it’s cute
kabhi ka pata nai…I found it cuteee
ye bhi hunar hai uncle


LP
8
Re: Suno ik raaz
it’s cute
kabhi ka pata nai…I found it cuteee
ye bhi hunar hai uncle

