Aik Buhat Khoobsurat Nazm,
Suno Acha Nahi Lagta
Kay Koi Doosra Dekhay
Tumhari Sharbati Aankhain
Lab-o-Rukhsaar Aur Palkain
Siyah Lambi Ghanee Zulfain
Sarahay Doosra Koi
Mujhay Acha Nahi Lagta
Suno Acha Nahi Lagta
Karay Jab Tazkara Koi
Karay Jab Tabsara Koi
Tumhari Zaat Ko Khojay
Tumhari Baat Ko Sochay
Mujhay Acha Nahi Lagta
Suno Acha Nahi Lagta
Tumhari Muskurahat Per
Hazaroon Loag Martay Hoon
Tumhari Aik Aahat Par
Hazaroon Dil Dharaktay Hoon
Kise Ka Tum Pe Yuun Marna
Mujhay Acha Nahi Lagta
Suno Acha Nahi Lagta
Hawa Guzray Tumhain Chhu Kar
Na Hoga Zabt Yeh Mujh say
Karayy Gustakhiaan Tumse
Tumhari Zulfain Bikhar Ja-ain
Tumharay Lams Pee Ja-ain
Mujhay Acha Nahi Lagta
Suno Acha Nahi Lagta
Kay Tum Ko Phool Bhi Dekhain
Tumharay Paas Say Mehkain
Ya Chanda Ki Guzarish Hoo
Kay Apni Roshni Bakhshoon
Rukh-e-Jana Koi Daikhay
Mujhay Acha Nahi Lagta
Umeed Hai Aap Logon Ko Bhi Pasand Aye Gi..
Regards,