Suna hay jangalooN ka bhee koi dastoor hota hay..

**Suna hay jangalooN ka bhee koi dastoor hota hay!

Suna hay shair ka jub pait bher jayee, tu woh hamla nahi kerta,

DarakhtooN ki ghani ChaooN maiN ja ker lait jata hay.

Hawa kay taiz jhonkay, jub darakhtooN ko hilatay hain,

Tu maina apnay bachay choar ker,

Kaway kay andooN ko perooN say tham laiti hay.

Suna hay ghon’slay say koi bacha gir paray tu,

Saara jungle jaag jata hay.

Suna hay jub kisi nuddi kay pani main,

Ba’yee kay ghonslay ka gandumi saya larazta hay,

Tu Nuddi ki ropehli machliyaN usko parodsi maan laiti hain.

Koi toofan aa jaye, koi pul toote jayee,

Tu kisi lakri kay takhtay per,

Gulehri, sanp, bakri aur cheeta sath hutay hain.

Suna hay jangalooN ka bhee koi dastoor hota hay!

Khuda’wanda, Jaleel-o-Mu’tabir, Dana-o-Beena, Munsif-o-Akbar…

Meray iss shehar main abb jangalooN he ka koi qanoon nafiz ker…

**

Re: Suna hay jangalooN ka bhee koi dastoor hota hay..

I am sure you will love listening to it too.

Re: Suna hay jangalooN ka bhee koi dastoor hota hay..

bahot Khoob...saHeeH farmaaya k aise hii shaayad Haalaat sudhar jaayeN...aameen

Re: Suna hay jangalooN ka bhee koi dastoor hota hay..

I love this one to bits... magnificent poetry...

Re: Suna hay jangalooN ka bhee koi dastoor hota hay..

Amazing :k: …always inspiring :k: … video ke leeye bohat shukriya fara ji :slight_smile:

Re: Suna hay jangalooN ka bhee koi dastoor hota hay..

very nice fara:)

Re: Suna hay jangalooN ka bhee koi dastoor hota hay..

Thanks Amal and Koyal

Re: Suna hay jangalooN ka bhee koi dastoor hota hay..

Ayse Dastoor ko
Subah-e-Baynoor ko
mein nahi mantah - mein nahii mantah :)

Re: Suna hay jangalooN ka bhee koi dastoor hota hay..

^ Iss kay siwa koi aur chara bhee tu nahi hay..